Syed Kazim Ali Shaukat Bilgrami

likha hai go teri qismat mein shaukat chashm-e-tar rakhna

Syed Kazim Ali Shaukat Bilgrami

Hyderabad, Telangana, India

1876
likhā hai go terī qismat meñ 'shaukat' chashm-e-tar rakhnā
magar zālim kisī kī aabrū par bhī nazar rakhnā
na bhūlegā na bhūlegā qayāmat tak na bhūlegā
kisī kā vo mohabbat se mire siine pe sar rakhnā
na uTThegā dil-e-nāzuk se sadma rañj-e-furqat kā
ilāhī mere dard-e-dil se un ko be-ḳhabar rakhnā
vo kyā jaane bhalā hotī haiñ kaisī aish kī rāteñ
mayassar ho na jis ko tā-sahar takiye pe sar rakhnā
dil-e-be-ārzū kaafī hai ham hasrat-nasīboñ ko
mubārak ho sadaf ko apnī muTThī meñ guhar rakhnā
na ho kis tarah shart-e-dilbarī duniyā meñ dildārī
jahāñ meñ ghar banānā sahl hai mushkil hai ghar rakhnā
Top Urdushayar.com