thā us kā jaisā amal vo hī yaar maiñ bhī karūñ
ridā-e-vaqt ko kyā dāġh-dār meñ bhī karūñ
muaaf mujh ko na karnā kisī bhī sūrat se
zamāne tujh ko agar ashk-bār maiñ bhī karūñ
mile jo mujh ko bhī fursat ġham-e-zamāna se
kisī ke sāmne zikr-e-bahār maiñ bhī karūñ
jo Daale rahte haiñ chehroñ pe maslahat kī naqāb
kyā aise logoñ meñ terā shumār maiñ bhī karūñ
ḳhudā kare ki tujhe vo maqām bhī ho nasīb
jahāñ pahuñch ke tirā e.atibār meñ bhī karūñ
salīqa mujh ko jo aa jaa.e sher kahne kā
ki ġhazal-e-'mīr' se naqsh-o-nigār maiñ bhī karūñ