na chāragar na masīhā na rāhbar thā maiñ
nazar meñ phir bhī zamāne kī mo'atabar thā maiñ
anā pe harf na aa jaa.e haq-parastoñ kī
uThā.e apne hī neze pe apnā sar thā maiñ
savāl ye nahīñ kis ne kiyā thā qatl mujhe
savāl ye hai ki kyuuñ ḳhud se be-ḳhabar thā maiñ
jo sub.h-e-nau kā asīrī meñ de rahā thā payām
vo inqilāb-e-zamāna kā nāma-bar thā maiñ
sukūn-e-dil bhī milā ābloñ kī lazzat bhī
tumhāre saath safar meñ jo ham-safar thā maiñ
hue the past havāoñ ke hausle 'ārif'
jab apne khole fazāoñ meñ bāl-o-par thā maiñ