vo kamandeñ Dāltā phirtā hai mehr-o-māh par
jaise koī ḳhaak ho kar rah gayā is raah par
sabr se jo thaam kar rakkhī hai apne haath meñ
āñsuoñ ke kitne dariyā vaar duuñ is aah par
apne dil kī saltanat ke raaz kholuñgī kabhī
istife kitne likhe haiñ nā-gahānī chaah par
ḳhud-shanāsī ik taraf yaañ haq-shanāsī bhī ga.ī
kuchh se kuchh hone lagā hai chuTkī bhar afvāh par
ḳhvāb bhī bosīdgī le kar gadāgar ban ga.e
aur fatve de rahe haiñ ab dil-e-gumrāh par
dard-mandī kā hunar bhī jis ke hāthoñ meñ nahīñ
ham ne dil ko vaar Daalā hai usī dargāh par
dard ke sab pairahan bhī ab sarāpā dard haiñ
ik kahānī chīḳhtī hai fikr-o-fan kī raah par