Sadiya Basheer

safar to KHatm dard ka kisi paDaw mein nahin

Sadiya Basheer

Lahore, Punjab, Pakistan

safar to ḳhatm dard kā kisī paḌāv meñ nahīñ
jo naqsh khul chuke haiñ sab kisī subhāv meñ nahīñ
hai dil meñ aag jo jalī abhī talak nahīñ bujhī
ye shiddateñ to aañch kī kisī alaav meñ nahīñ
masāfateñ dil-o-nigāh kī to pāniyoñ pe ḳhatm haiñ
ki ishq kī ye vahdateñ kisī bahāo meñ nahīñ
haiñ mahv-e-raqs zindagī ke zāviye tabāh-kun
ye manzileñ vo rāste kisī banāv meñ nahīñ
haiñ dil-lagī ke khel ke kuchh aur bhī to silsile
gulāl qurb-o-vasl kā faqat lagāv meñ nahīñ
vo koī fard-e-ḳhās hai jo aaj ehtimām hai
ye sar-ba-sar sajāvaTeñ to rakh-rakhāv meñ nahīñ
kuchh aur hī thā shauq vo jo paar le ke chal diyā
bhañvar meñ aise tairnā ye siikh naav meñ nahīñ
Top Urdushayar.com