guftugū meñ zahr hai aur lahja pur-taz.hīk hai
tum ḳhudā-lagtī kaho kyā ye ravayya Thiik hai
aañkh bhar ke ek muddat se jise dekhā nahīñ
vo sitamgar kis qadar dil se mire nazdīk hai
ek ġham qismat ne jaise dhar diyā qirtās par
zindagī jiinā bhī jaise sānvī tahrīk hai
phir hañsī kī ik kiran se ashk raushan ho ga.e
aag paanī meñ lagāne kī yahī taknīk hai
kal phir us ke naam par ik aur patthar rakh diyā
ham gadāgar bhī nahīñ haiñ na mohabbat bhiik hai
ik havā aisī chalī jo aks dhuñdlā kar ga.ī
baal shīshe par jo utrā baal se bārīk hai
jo pas-e-dīvār hai vo bā.is-e-hairat nahīñ
sāmne hai jo tamāshā sūrat-e-tashkīk hai