Sadiya Basheer

zaban-bandi se pahle kuchh anokhe hadse bhi hain

Sadiya Basheer

Lahore, Punjab, Pakistan

zabāñ-bandī se pahle kuchh anokhe hādse bhī haiñ
vafā.eñ sar-nigūñ Thahrīñ jafā meñ valvale bhī haiñ
ajab sī dushmanī aur dostī kā ik qasīda hai
diloñ meñ kuchh qasīde haiñ zabāñ par razmiye bhī haiñ
abhī uljhī huī dānish hai apnī ḳhud-farebī meñ
adhūre rāste to haiñ safar meñ dā.ere bhī haiñ
purāne zaḳhm to ab fāriġh-ut-tahsīl Thahre haiñ
abhī ta.alīm jaarī hai na.e kuchh dāḳhle bhī haiñ
na hī tirchhe na hī sīdhe na assī ke na navve ke
ki miqyās-e-mohabbat meñ na.e kuchh zāviye bhī haiñ
valī bhī ab valī kab hai karāmātī vilāyat meñ
yahāñ kargas ke shāhīñ se anokhe rābte bhī haiñ
ye us ne dil jalāne ko jo kuchh sāmān bhejā hai
inhī chiñgāriyoñ meñ 'sa.adiya' kuchh mo.ajize bhī haiñ
Top Urdushayar.com