apnā apnā dukh batlānā hotā hai
miTTī se tasvīr meñ aanā hotā hai
merī sub.h zarā kuchh der se hotī hai
mujhe kisī ko ḳhvāb sunānā hotā hai
na.e na.e manzar kā hissa bantā huuñ
jaise jaise jism purānā hotā hai
ik chiḌiyā mujh se bhī pahle uThtī hai
jaise us ko daftar jaanā hotā hai
yaar kitābeñ kitnī jhūTī hotī haiñ
in meñ koī aur zamāna hotā hai
ghar ke andar itnī galiyāñ paḌtī haiñ
kabhī-kabhār hī bāhar jaanā hotā hai