sirf āzār uThāne se kahāñ bantā hai
mujh sā uslūb zamāne se kahāñ bantā hai
aañkh ko kaaT ke kuchh nok-palak sīdhī kī
zāviya siidh meñ aane se kahāñ bantā hai
kuchh na kuchh is meñ haqīqat bhī chhipī hotī hai
vāqi.a baat banāne se kahāñ bantā hai
husn-e-yūsuf sī koī jins bhī rakkho is meñ
varna bāzār sajāne se kahāñ bantā hai
is meñ kuchh vahshat-e-dil bhī to rakhī jaatī hai
baaġh bas phuul ugāne se kahāñ bantā hai
rāsta bantā hai tashkīl-e-nazar se 'bābar'
ḳhaak kī ḳhaak uḌāne se kahāñ bantā hai