Sakhi Lakhnvi

tum agar do na pairahan apna

Sakhi Lakhnvi

Allahabad, Uttar pradesh, India

1813-1876
tum agar do na pairahan apnā
charḳh se maañg luuñ kafan apnā
aage karte the is tarah pāmāl
yaad to kījiye chalan apnā
aaj ham jaan dene aa.e haiñ
kuchh dikhāte ho bāñkpan apnā
shāna zulfoñ meñ vaañ nahīñ uljhā
saañp dikhlā rahā hai phan apnā
yaad rakhiyo hamārī pāmālī
bhūliyo mat kabhī chalan apnā
yā kaho ham kueñ meñ Duub mareñ
yā dikhāo kūcha-e-zaqan apnā
ham vo bulbul nahīñ jo baaġh ko jaa.eñ
kūcha-e-yār hai chaman apnā
ham ko dikhlā ke tañg karte haiñ
gah kamar apnī gah dahan apnā
jis ko kahte haiñ log shahr kaḌā
ai 'saḳhī' hai vahī vatan apnā
Top Urdushayar.com