mujh ko ma.alūm thā maiñ aur sañvar jā.ūñgā
ghar se niklūñgā to har samt bikhar jā.ūñgā
raaz maujoñ ke samundar ne batā.e haiñ mujhe
yahāñ Dūbūñgā kahīñ aur ubhar jā.ūñgā
abhī sustā.ūñgā kuchh der isī dorāhe par
ba.ad meñ sochūñgā dekhūñgā kidhar jā.ūñgā
maiñ to barzaḳh ke añdheroñ meñ jalā.ūñgā charāġh
maiñ nahīñ vo ki jo maut aa.ī to mar jā.ūñgā
zindagī yuuñ tujhe rahne nahīñ dūñgā be-rañg
terī tasvīr meñ kuchh rañg to bhar jā.ūñgā
maiñ huuñ dariyā hai ravānī mirī daa.im 'betāb'
koī sailāb nahīñ huuñ ki utar jā.ūñgā