ye zamīñ huuñ vo āsmāñ bhī huuñ
maiñ yahāñ bhī huuñ maiñ vahāñ bhī huuñ
martaba merā jo bhī hai so hai
bahut achchhā huuñ maiñ jahāñ bhī huuñ
mujh se bāhar mirā surāġh nahīñ
maiñ ki manzil bhī huuñ nishāñ bhī huuñ
tan-e-tanhā bhī gāmzan huuñ aur
saath sab ke ravāñ-davāñ bhī huuñ
mujh se mere sivā na kuchh bhī maañg
maiñ safar bhī huuñ armuġhāñ bhī huuñ
zarā aage nikal ke dekhūñ agar
maiñ koī yād-e-raftagāñ bhī huuñ
zindagī kī huuñ be-nishānī bhī
maiñ kisī gor kā nishāñ bhī huuñ
faḳhr bhī hai ki phir bhī huuñ 'betāb'
apnī hastī se bad-gumāñ bhī huuñ