aa.ina hai ye jahāñ is meñ jamāl apnā hai
sūrat-e-ġhair kahāñ hai ye ḳhayāl apnā hai
bas ki hoñ hech-madāñ us pe maiñ kartā huuñ ghamanD
be-kamālī meñ mujhe apnī kamāl apnā hai
nāla-o-āh hai yā girya-o-zārī hai yahāñ
pūchhte kyā ho jo kuchh hijr meñ haal apnā hai
tālib ik bose kā huuñ dete ho kyā saaf javāb
kuchh bahut bhī nahīñ thoḌā hī savāl apnā hai
hai burā yā bhalā jo kuchh ki hai terā hai 'huzūr'
is ke ta.iiñ ghar se mat apne tū nikāl apnā hai