shajar bāġh-e-jahāñ kā thā jahāñ tak sab samar laayā
magar ik naḳhl-e-āh us meñ na ham ne kuchh asar paayā
burā to mānte haiñ mere ro ro arz karne par
bhalā tum ne kabhī kuchh hañs ke mere haq meñ farmāyā
jahāñ ik hastī-e-be-būd hai jyuuñ aks-e-ā.īna
jo ham ne ġhaur kar dekhā to dhokā hī nazar aayā