Gulam Yahya Huzur Azimabadi

jahan mein kahan baham ulfat rahi hai

Gulam Yahya Huzur Azimabadi

jahāñ meñ kahāñ bāham ulfat rahī hai
magar sirf sāhib-salāmat rahī hai
hai afsos ai umr jaane kā tere
ki tū mere paas ek muddat rahī hai
ye tūfān-e-ashk is meñ āñkhoñ kī kashtī
ta.ajjub hai kyuuñ kar salāmat rahī hai
agarche tirī yaad meñ ḳhush huuñ lekin
in āñkhoñ se dekhūñ ye hasrat rahī hai
mat ummīd bose kī rakh dilbaroñ se
'huzūr' ab kise itnī himmat rahī hai
Top Urdushayar.com