Gulam Yahya Huzur Azimabadi

gul-ezar aur bhi yun rakhte hain rang aur namak

Gulam Yahya Huzur Azimabadi

gul-ezār aur bhī yuuñ rakhte haiñ rañg aur namak
par mire yaar ke chehre kā sā Dhañg aur namak
husn us shoḳh kā hai bas ki malīh us kī nigāh
dil pe karte haiñ mire kār-e-ḳhadañg aur namak
ġhuncha-e-gul meñ va bulbul meñ huī be-mazagī
dekh gulshan meñ dahan yaar kā tañg aur namak
dard-e-hijrāñ se ba-tañg aapī huuñ nāseh se kaho
zaḳhm par mere na chhiḌke ye dabañg aur namak
suḳhan-e-va.az-o-nasīhat dil-e-pur-ḳhūñ ko 'huzūr'
yuuñ hai jyuuñ shīsha-e-mai ke liye sañg aur namak
Top Urdushayar.com