yuuñ to dil har kadām rakhtā hai
ahl-e-dil honā kaam rakhtā hai
kab vo tama-e-salām rakhtā hai
mujh sā lākhoñ ġhulām rakhtā hai
ishrat-e-do-jahāñ hai us ke saath
jo surāhī-o-jām rakhtā hai
hai vahī ḳhaas bazm-e-duniyā meñ
jo madārā-e-ām rakhtā hai
dīn-o-duniyā kā jo nahīñ pāband
vo farāġhat tamām rakhtā hai
but-parastoñ ko kui kahe hai zubūñ
kui musalmāñ ko naam rakhtā hai
har koī apnī fahm-e-nāqis meñ
puḳhta saudā-e-ḳhām rakhtā hai
jo kisū ko burā kahe na 'huzūr'
vahī fahm-mañd naam rakhtā hai