ġhair aa.e pīchhe pā ga.e mujre kā baar pahle
ham aah baiThe rah ga.e aa.e hazār pahle
maiñ arz-e-hāl us se kyuuñ kar karūñ mukarrar
koī bol bhī sake hai vaañ ek baar pahle
gar jānte ki āḳhir ḳhvāhān-e-jāñ to hogā
dil dete pīchhe jī ko karte nisār pahle
jaanā na thā pareshāñ kar degī tū vagarna
ham pech meñ bhī aate ai zulf-e-yār pahle
maqtal meñ jab vo qātil tarvār le ke aayā
kahne lagā huzūr aa le tū hī vaar pahle
maiñ sar jhukā ke aage pahuñchā hai aur kiyā arz
is se bhī kuchh hai behtar hāzir huuñ yaar pahle
tab dekh dekh bolā tarsā ke mārnā hai
niiñ mārne kā tujh ko maiñ zīnhār pahle