ashk āñkhoñ ke andar na rahā hai na rahegā
ye tifl hai abtar na rahā hai na rahegā
mun.im na ho maġhrūr sadā paas kasū ke
sīm-o-zar-o-gauhar na rahā hai na rahegā
gar aish mayassar ho to kar liije kam-o-besh
sab vaqt barābar na rahā hai na rahegā
āñkhoñ se isī tarah agar sail ravāñ hai
duniyā meñ koī ghar na rahā hai na rahegā
jab duḳhtar-e-raz le ke 'huzūr' aa gayā saaqī
phir zohd barādar na rahā hai na rahegā