Gulam Yahya Huzur Azimabadi

aabru ulfat mein agar chahiye

Gulam Yahya Huzur Azimabadi

aabrū ulfat meñ agar chāhiye
rakhnī sadā chashm ko tar chāhiye
dil to tujhe de hī chuke jaan bhī
lījiye hāzir hai agar chāhiye
yaar mile yā na mile sub.h-o-shām
kūcha-e-jānāñ meñ guzar chāhiye
naam bhī nam kā na rahā chashm meñ
ab tū girye laḳht-e-jigar chāhiye
tīr-e-nigah vo hai ki jis tiir ke
sāmne hone ko jigar chāhiye
ab kī bache jī to kisū ke ta.iiñ
phir na kaheñ bār-e-digar chāhiye
dil bhī javāhar hai va-lekin huzūr
is ke parakhne ko nazar chāhiye
Top Urdushayar.com