Gulam Yahya Huzur Azimabadi

jo yun aap bairun-e-dar jaenge

Gulam Yahya Huzur Azimabadi

jo yuuñ aap bairūn-e-dar jā.eñge
ḳhudā jaane kis kis ke ghar jā.eñge
shab-e-hijr meñ ek din dekhnā
agar zindagī hai to mar jā.eñge
abas ghar se apne nikāle hai tū
bhalā ham tujhe chhoḌ kar jā.eñge
musāfir haiñ lekin nahīñ jānte
kahāñ se ham aa.e kidhar jā.eñge
tamannā meñ bose kī kahtā hai jī
badan se nikal bhī agar jā.eñge
tū hai ek-dam aur hazāroñ umiid
laboñ pe koī dam Thahar jā.eñge
ba-hurmat nibhī ab talak jis tarah
huzūr itne din bhī guzar jā.eñge
Top Urdushayar.com