Tuk dekhiyo ye abrū-e-ḳhamdār vahī hai
kushta huuñ maiñ jis kā so ye tarvār vahī hai
mansūr sā koī na huā ḳhalq jahāñ meñ
is mamlakat-e-faqr kā sardār vahī hai
pūchhā jo maiñ us se ki 'huzūr' aisā koī aur
gāhak bhī hai yā ek ḳharīdār vahī hai
itnī jo aziyyat use detā hai tū har dam
kyā qābil-e-jaur-o-sitam ai yaar vahī hai
kahne lagā ham logoñ kā mashrab to yahī hai
jo koī bahut chāhe gunahgār vahī hai