Gulam Yahya Huzur Azimabadi

aankhon ka KHuda hi hai ye aansu ki hai gar mauj

Gulam Yahya Huzur Azimabadi

āñkhoñ kā ḳhudā hī hai ye aañsū kī hai gar mauj
kashtī bache kyūñkar jo rahe aaTh pahar mauj
ai bahr na tū itnā umañD chal mire aage
ro ro ke Dubā dūñgā kabhī aa ga.ī gar mauj
pahuñchā nahīñ gar terā qadam tā-lab-e-dariyā
sāhil se paTak sar ko hai kyuuñ ḳhāk-ba-sar mauj
gar ālam-e-āb is kā kamīñ-gāh nahīñ hai
kyuuñ tā.ir-e-bismil kī tarah maare hai par mauj
uThte nahīñ sāhil kī misāl apne makāñ se
dariyā kī tarah mārte haiñ apne hī ghar mauj
kyā pūchhte ho ashk ke dariyā kā talātum
jaatī hai nazar jis taraf aatī hai nazar mauj
gar nahiñ hai 'huzūr' us ko havas diid kī us ke
kyuuñ khole habāboñ se hai yuuñ dīda-e-tar mauj
Top Urdushayar.com