us shoḳh se kyā kījiye iz.hār-e-tamannā
ye log koī sunte haiñ guftār-e-tamannā
ik aarzū sab le ga.e saath apne jahāñ se
anjām kisū se na huā kār-e-tamannā
ye ḳhūbī-e-qismat ki mile bāġh-e-jahāñ se
sab ko gul-e-umīd o hameñ ḳhār-e-tamannā
hasrat se bharā dil mire pahlū meñ nahīñ hai
phirtā huuñ baġhal meñ liye tūmār-e-tamannā
pahlū ko mire baaġh kiyā ishq ne tere
zaḳhmoñ se mirā dil huā gulzār-e-tamannā
murdoñ se 'huzūr' ho na sake minnat-e-dūnā
sar jaa.e par un se na uThe bār-e-tamannā