Gulam Yahya Huzur Azimabadi

har shajar ke tain hota hai samar se paiwand

Gulam Yahya Huzur Azimabadi

har shajar ke ta.iiñ hotā hai samar se paivand
aah ko kyuuñ nahīñ hotā hai asar se paivand
dekhnā zor hī gāñThā hai dil-e-yār se dil
sañg-o-shīshe ko kiyā hai maiñ hunar se paivand
mizha-e-ḳhūn-e-dil ālūda pa ye hai qatra-e-ashk
yuuñ hai jyuuñ shāḳh ho marjāñ kī guhar se paivand
mil rahā hai tire aariz se ḳhat-e-mūrcha ye
jaise ā.īne ke jauhar ho jigar se paivand
sozish-e-ashk se ma.alūm ye hotā hai mujhe
qatra-e-āb bhī hotā hai sharar se paivand
thaan zarbaft ke hote the jahāñ qat.a 'huzūr'
jin kī poshāk sadā hotī thī zar se paivand
ab phaTā jaama gazī kā nahīñ gar hai bhī koī
tū nikāle ko nikaltā nahīñ ghar se paivand
Top Urdushayar.com