kis kī tasvīr se ā.īna Darātā hai mujhe
kaun ye mujh sā hai āñkheñ jo dikhātā hai mujhe
nit-na.e sāhil-o-amvāj dikhātā hai mujhe
ik samundar hai ki har-lahza bulātā hai mujhe
hai nihāñ-ḳhāna-e-ġham us kī hañsī ke pīchhe
hañstā rahtā hai vo ḳhud aur rulātā hai mujhe
rāt-bhar koh-e-nidā se mujhe detā hai sadā
sub.h hote hī bulandī se girātā hai mujhe
ashk ye aur kisī kā hai sar-e-shām-e-umīd
merī āñkhoñ meñ utar kar jo rulātā hai mujhe
kise achchhā kahūñ ab kis ko burā ai 'betāb'
har koī apne hī jaisā nazar aatā hai mujhe