Gulam Yahya Huzur Azimabadi

ye dil hi jalwa-gah hai us KHush-KHiram ka

Gulam Yahya Huzur Azimabadi

ye dil hī jalva-gāh hai us ḳhush-ḳhirām kā
dekhā to sirf naam hai bait-ul-harām kā
ma.anī meñ lafz ek hai ye rabb-o-rām kā
hāsil ye hai ki hai vahī hāsil kalām kā
dekhā to sab haqīqat-o-ma.anī meñ ek haiñ
sūrat meñ garche farq hai aapas meñ naam kā
us lā-makāñ kā koī muayyan nahīñ makāñ
gar hai to dil Thikānā hai us ke maqām kā
masrūr terī mai se ik aalam hai sāqiyā
ummīd-vār maiñ bhī huuñ do ek jaam kā
āġhāz-e-ishq meñ gayā dil haath se mire
anjām kyā ho dekhiye ab mere kaam kā
lete haiñ chuur karne ko hī sañg-dil huzūr
kiyā hai vagarna shīsha-e-dil un ke kaam kā
Top Urdushayar.com