Pritpal Singh Betab

phir lauT ke dharti pe bhi aane nahin deta

Pritpal Singh Betab

Poonch, Jammu and Kashmir, India

1949
phir lauT ke dhartī pe bhī aane nahīñ detā
vo paañv ḳhalā meñ bhī jamāne nahīñ detā
ḳhush rahtā hai ujḌe hue logoñ se hamesha
basne nahīñ detā vo basāne nahīñ detā
manzūr nahīñ lamhoñ kī pahchān bhī us ko
aur naam daraḳhtoñ se miTāne nahīñ detā
detā hai masāfat bhī muhīb andhe kuoñ kī
yuuñ to vo kisī ko bhī ḳhazāne nahīñ detā
kahtā hai ki baaqī bhī rahe yaad safar kī
sauġhāt koī saath bhī laane nahīñ detā
basne bhī nahīñ detā mujhe apne nagar meñ
sahrā bhī magar mujh ko basāne nahīñ detā
maujoñ ke mujhe raaz bhī samjhātā nahīñ vo
sāhil pe safīna bhī lagāne nahīñ detā
de detā hai har baar vahī naav purānī
ḳhvāboñ ko samundar meñ bahāne nahīñ detā
patthar bhī mujhe hone nahīñ detā vo lekin
āñkhoñ meñ koī ḳhvāb sajāne nahīñ detā
Top Urdushayar.com