sahrā base hue the hamārī nigāh meñ
ḳhema lagā na paa.e ham āb-o-giyāh meñ
sadiyāñ hamārī raah ko roke khaḌī rahīñ
aur zindagī guzartī rahī sāl-o-māh meñ
bas jaate ham kahīñ bhī samundar ke darmiyāñ
aayā magar na koī jazīra hī raah meñ
ik baar haath lag ga.e us andhī bhiiḌ ke
vāpas na lauT paa.e ham apnī panāh meñ
vaqt aur maqām se na kabhī ham guzar sake
guzre maqām-o-vaqt faqat rasm-o-rāh meñ
kuchh der zer-e-pā jo Thahartī koī zamīñ
ham bhī qayām karte kisī jā.e-gāh meñ
'betāb' pastiyoñ se nikal hī na paa.e ham
kyā kyā bulandiyāñ thiiñ hamārī nigāh meñ