Jaleel Manikpuri

nigah barq nahin chehra aaftab nahin

Jaleel Manikpuri

Manikpur, Uttar pradesh, India

1866-1946
nigāh barq nahīñ chehra āftāb nahīñ
vo aadmī hai magar dekhne kī taab nahīñ
gunah gunah na rahā itnī bāda-noshī kī
ab ek shaġhl hai kuchh lazzat-e-sharāb nahīñ
hameñ to duur se āñkheñ dikhā.ī jaatī haiñ
naqāb lipTī hai us par koī itaab nahīñ
piye baġhair chaḌhī rahtī hai hasīnoñ ko
vahāñ shabāb hai kyā kam agar sharāb nahīñ
bahār detā hai chhan chhan ke nuur chehre kā
sar-e-naqāb hai jo kuchh tah-e-naqāb nahīñ
vo apne aks ko āvāz de ke kahte haiñ
tirā javāb to maiñ huuñ mirā javāb nahīñ
use bhī aap ke hoñToñ kā paḌ gayā chaskā
hazār chhoḌiye chhuTne kī ab sharāb nahīñ
butoñ se parda uThāne kī bahas hai bekār
khulī dalīl hai kaaba bhī be-naqāb nahīñ
'jalīl' ḳhatm na ho daur-e-jām-e-mīnā.ī
ki is sharāb se baḌh kar koī sharāb nahīñ
Top Urdushayar.com