Jaleel Manikpuri

husn o ulfat mein KHuda ne rabt paida kar diya

Jaleel Manikpuri

Manikpur, Uttar pradesh, India

1866-1946
husn o ulfat meñ ḳhudā ne rabt paidā kar diyā
dard-e-dil mujh ko diyā tum ko masīhā kar diyā
ḳhuub kī taqsīm tū ne ai ḳhayāl-e-zulf-e-yār
dil ko nazr-e-dāġh sar ko vaqf-e-saudā kar diyā
jaan le lenā jalānā khel hai ma.ashūq kā
aañkh se maarā lab-e-nāzuk se zinda kar diyā
mujh ko shikva hai ki dil kā ḳhuun qātil ne kiyā
dil ye kahtā hai mujhe qatre se dariyā kar diyā
naaz ho yā dilbarī afsūñ ho yā jādūgarī
sab ko qudarat ne tirī chitvan kā hissa kar diyā
dil idhar ruḳhsat huā hosh us taraf chalte hue
kis kī āñkhoñ ne ye dar-parda ishārā kar diyā
maiñ kahāñ chāhat kahāñ ye sab karishme dil ke haiñ
tum pe ḳhud shaidā huā mujh ko bhī shaidā kar diyā
marhabā ai sāqī-e-jādū-nazar sad-marhabā
mast āñkhoñ ne mirā nashsha do-bālā kar diyā
dil taḌaptā hai to kuchh taskīn hotī hai 'jalīl'
jī bahalne ko ḳhudā ne dard paidā kar diyā
Top Urdushayar.com