dekhā jo husn-e-yār tabī.at machal ga.ī
āñkhoñ kā thā qusūr chhurī dil pe chal ga.ī
ham tum mile na the to judā.ī kā thā malāl
ab ye malāl hai ki tamannā nikal ga.ī
saaqī tirī sharāb jo shīshe meñ thī paḌī
sāġhar meñ aa ke aur bhī sāñche meñ Dhal ga.ī
dushman se phir ga.ī nigah-e-yār shukr hai
ik phāñs thī ki dil se hamāre nikal ga.ī
piine se kar chukā thā maiñ tauba magar 'jalīl'
bādal kā rañg dekh ke nīyat badal ga.ī