husn kī laa.ī huī ek bhī aafat na ga.ī
dil kī dhaḌkan na ga.ī dard kī shiddat na ga.ī
saaya tak bhaag gayā dekh ke vahshat ghar kī
kyā balā hai ki ilāhī shab-e-furqat na ga.ī
husn-e-dilkash ise kahte haiñ ki ham saarī umr
un ko dekhā kiye dīdār kī hasrat na ga.ī
ab bhī is rāhguzar meñ hai jahāñ thī pahle
sach to ye hai na kahīñ aa.ī qayāmat na ga.ī
maiñ zamāne meñ huuñ ā.īna-e-tasvīr 'jalīl'
ki tasavvur se kabhī yaar kī sūrat na ga.ī