Jaleel Manikpuri

ye kahna us se ai qasid jo mahw-e-KHud-parasti hai

Jaleel Manikpuri

Manikpur, Uttar pradesh, India

1866-1946
ye kahnā us se ai qāsid jo mahv-e-ḳhud-parastī hai
ki tere dekhne ko aañkh muddat se tarastī hai
bane haiñ jab se vo saaqī maze kī mai-parastī hai
idhar mai hai piyāloñ meñ udhar āñkhoñ meñ mastī hai
tirī āñkhoñ ke sadqe ek duniyā un meñ bastī hai
fusūñ hai sehr hai e.ajāz hai shoḳhī hai mastī hai
tabāhī dil meñ rahtī hai ḳharābī dil meñ bastī hai
yahī ābād bastī hai yahī vīrān bastī hai
nigāhoñ se milātā huuñ nigāheñ is tamannā meñ
vo mere dil meñ aa jaa.e jo un āñkhoñ meñ mastī hai
vo jins-e-dil kī qīmat pūchhte haiñ maiñ batā.ūñ kyā
yahī mahñgī sī mahñgī hai yahī sastī sī sastī hai
na sahbā hai na sāġhar hai na miinā hai na ḳhum saaqī
mujhe jo mast kartī hai tirī āñkhoñ kī mastī hai
azal se haq-parastī but-parastī sunte aate haiñ
magar ye aap kā mashrab nirālā ḳhud-parastī hai
javānī ne diye haiñ un ko lā kar ham-nashīñ kyā kyā
adā meñ naaz chitvan meñ hayā āñkhoñ meñ mastī hai
madār-e-zindagī Thahrā nafas kī āmad-o-shud par
havā ke zor se raushan charāġh-e-bazm-e-hastī hai
tamāshā hai mirī rindī ki sāġhar haath meñ le kar
har ik se pūchhtā huuñ maiñ kahīñ thoḌī sī mastī hai
firāq-e-rūh kyūñkar ho gavārā jism-e-insāñ ko
ujaḌ kar phir nahīñ ābād hotī ye vo bastī hai
vo mai-kash huuñ ki aatā hai jo lab par naam tauba kā
to mujh par josh meñ aa kar ghaTā kyā kyā barastī hai
ajab shai jins-e-ulfat hai ki dil jaa.e to haath aa.e
hamesha ek qīmat hai na mahñgī hai na sastī hai
jabhī tak aks qaa.em hai ki ā.īna muqābil ho
hamārī ye haqīqat hai hamārī itnī hastī hai
yaqīñ jaano ki muñh dekhī mohabbat ham nahiñ rakhte
vo ā.īna hai jo vārafta-e-sūrat-parastī hai
bahut jhaTke na de dast-e-junūñ jaib-o-garebāñ ko
rahe tujh ko lihāz is kā purānā raḳht-e-hastī hai
dil-e-āshiq meñ hasrat bhī hai armāñ bhī tamannā bhī
vo jis bastī meñ rahte haiñ baḌī ābād bastī hai
fanā avval bhī thī āḳhir bhī honā hai fanā ham ko
kareñ kyā do adam ke biich meñ ik apnī hastī hai
'jalīl' ustād kā kahnā suno bāñdho kamar tum bhī
ajab bastī madīna hai jahāñ rahmat barastī hai
Top Urdushayar.com