mohabbat rañg de jaatī hai jab dil dil se miltā hai
magar mushkil to ye hai dil baḌī mushkil se miltā hai
kashish se kab hai ḳhālī tishna-kāmī tishna-kāmoñ kī
ki baḌh kar mauja-e-dariyā lab-e-sāhil se miltā hai
luTāte haiñ vo daulat husn kī bāvar nahīñ aatā
hameñ to ek bosa bhī baḌī mushkil se miltā hai
gale mil kar vo ruḳhsat ho rahe haiñ haa.e kyā kahne
ye hālat hai ki bismil jis tarah bismil se miltā hai
shahādat kī ḳhushī aisī hai mushtāq-e-shahādat ko
kabhī ḳhanjar se miltā hai kabhī qātil se miltā hai
vo mujh ko dekh kar kuchh apne dil meñ jheñp jaate haiñ
koī parvāna jab sham-e-sar-e-mahfil se miltā hai
ḳhudā jaane ġhubār-e-rāh hai yā qais hai lailā
koī āġhosh khole parda-e-mahmil se miltā hai
'jalīl' us kī talab se baaz rahnā saḳht ġhaflat hai
ġhanīmat jāniye us ko ki vo mushkil se miltā hai