hastī hai adam mirī nazar meñ
sūjhī hai ye ek umr bhar meñ
o aañkh churā ke jaane vaale
ham bhī the kabhī tirī nazar meñ
phailātī hai paañv hasrat-e-dīd
ThanDak jo milī hai chashm-e-tar meñ
koī na hijāb kaam aayā
dekhā to vo the mirī nazar meñ
kam-zarf the saare ġhuncha o gul
kyā phūle haiñ ek musht-e-zar meñ
itnā bhī na ho koī hayā-dār
dekhā to samā ga.e nazar meñ
taare ye nahīñ haiñ āḳhir-e-shab
kuchh phuul haiñ dāman-e-sahar meñ
hai umr-e-ravāñ kā sham.a meñ rañg
ghar baiThe guzartī hai safar meñ
duniyā hai 'jalīl' haath uThā.e
baiThe haiñ kisī kī rahguzar meñ