maar Daalā muskurā kar naaz se
haañ mirī jaañ phir isī andāz se
kis ne kah dī un se merī dāstāñ
chauñk chauñk uThte haiñ ḳhvāb-e-nāz se
phir vahī vo the vahāñ kuchh bhī na thā
jis taraf dekhā nigāh-e-nāz se
dard-e-dil pahle to vo sunte na the
ab ye kahte haiñ zarā āvāz se
miT ga.e shikve jab us ne ai 'jalīl'
Daal deñ bāñheñ gale meñ naaz se