chal kar na zulf-e-yār ko tū ai sabā bigāḌ
andher hogā us se agar ho gayā bigāḌ
āshiq ko har tarah hai musībat kā sāmnā
achchhā tirā milāp na achchhā tirā bigāḌ
maiñ kyuuñ karūñ kisī ko makīn-e-makān-e-dil
maiñ kyuuñ kahūñ kisī se ki tū ghar mirā bigāḌ
mauqūf ek do pe nahīñ yaar kā itaab
is se judā bigāḌ hai us se judā bigāḌ
hotī thī āshiqoñ meñ baḌe lutf se basar
baiThe-biThā.e aap ne kyuuñ kar liyā bigāḌ
aise marīz-e-ishq kā kis se ilaaj ho
paidā kare mizāj meñ jis ke davā bigāḌ
nāzuk-mizāj yaar kā bartāo kyā kahūñ
do din rahā milāp to barsoñ rahā bigāḌ
achchhoñ meñ aib bhī ho to dāḳhil hunar meñ hai
rakhtā hai sau banāv tirī zulf kā bigāḌ
achchhā huā 'jalīl' se tum saaf ho ga.e
aġhyār ne to Daal diyā thā burā bigāḌ