haañ jise āshiqī nahīñ aatī
lazzat-e-zindagī nahīñ aatī
jaise us kā kabhī ye ghar hī na thā
dil meñ barsoñ ḳhushī nahīñ aatī
jab se bulbul asīr-e-dām huī
kisī gul ko hañsī nahīñ aatī
sab sharābī mujhe kaheñ tujh ko
sharm ai be-ḳhudī nahīñ aatī
yuuñ to aatī haiñ saikḌoñ bāteñ
vaqt par ek bhī nahīñ aatī
sochtā kyā hai pī bhī le zāhid
kuchh qayāmat abhī nahīñ aatī
intihā ġham kī is ko kahte haiñ
zaḳhm ko bhī hañsī nahīñ aatī
kauñdtī hai hazār rañg se barq
phir bhī shoḳhī tirī nahīñ aatī
sarf jab tak na ḳhūn-e-dil ho 'jalīl'
rañg par shā.erī nahīñ aatī