abhī se āfat-e-jāñ hai adā adā terī
ye ibtidā hai to kyā hogī intihā terī
mirī samajh meñ ye qātil na aaj tak aayā
ki qatl kartī hai talvār yā adā terī
naqāb laakh chhupā.e vo chhup nahīñ saktī
mirī nazar meñ jo sūrat hai dilrubā terī
lahū kī buuñd bhī ai tīr-e-yār dil meñ nahīñ
ye fikr hai ki tavāzo karūñ maiñ kyā terī
suñghā rahī hai mujhe ġhash meñ nik.hat-e-gesū
ḳhudā darāz kare umr ai sabā terī
adā pe naaz to hotā hai sab hasīnoñ ko
fazā ko naaz hai jis par vo hai adā terī
'jalīl' yaar ke dar tak guzar nahīñ na sahī
hazār shukr ki hai us ke dil meñ jā terī