Jaleel Manikpuri

dil par is kakul-e-rasa ki choT

Jaleel Manikpuri

Manikpur, Uttar pradesh, India

1866-1946
dil par is kākul-e-rasā kī choT
qahr kī choT hai balā kī choT
haiñ vo afsurda merī aahoñ se
phuul ko hai bahut havā kī choT
nigah-e-nāz se ḳhudā kī panāh
kyā bachā.e koī qazā kī choT
āfrīñ dil ko jo uThātā hai
dam-ba-dam ḳhanjar-e-adā kī choT
gir paḌī āsmān se bijlī
hañs ke qātil ne kī balā kī choT
ban ga.ī ḳhuun dast-e-qātil meñ
rañg laa.ī dil-e-hinā kī choT
tīr-e-mizhgāñ chale judā dil par
ġhamza-e-yār ne judā kī choT
baaġh meñ sab bikas ga.iiñ kaliyāñ
na uThī dāman-e-sabā kī choT
dil ye kahtā hai kuchh ḳhatā kar ke
khā.iye dast-e-dil-rubā kī choT
ho gayā māh-e-charḳh do TukḌe
thī ye añgusht-e-mustafā kī choT
ġhair kyā samjhe dard-e-dil ko 'jalīl'
āshnā jaane āshnā kī choT
Top Urdushayar.com