Jaleel Manikpuri

us ka jalwa jo koi dekhne wala hota

Jaleel Manikpuri

Manikpur, Uttar pradesh, India

1866-1946
us kā jalva jo koī dekhne vaalā hotā
vāda-e-dīd qayāmat pe na Taalā hotā
baam par the vo khaḌe lutf do-bālā hotā
mujh ko bhī dil ne uchhal kar jo uchhālā hotā
kaise ḳhush-rañg haiñ zaḳhm-e-jigar o dāġh-e-jigar
ham dikhāte jo koī dekhne vaalā hotā
dil na sambhlā thā agar dekh ke jalva us kā
tū ne ai dard-e-jigar uTh ke sambhālā hotā
tum jo parde meñ sañvarte ho natīja kyā hai
lutf jab thā ki koī dekhne vaalā hotā
tum ne armān hamārā na nikālā na sahī
apne ḳhanjar kā to armān nikālā hotā
dil ke hāthoñ na milā chain kisī roz 'jalīl'
aise dushman ko na āġhosh meñ paalā hotā
Top Urdushayar.com