yuuñ na Tapkā thā lahū dīda-e-tar se pahle
dekhnā aag lagī phir usī ghar se pahle
jaise jaise dar-e-dildār qarīb aatā hai
dil ye kahtā hai ki pahuñchūñ maiñ nazar se pahle
nāma-e-yār paḌhūñ maiñ abhī jaldī kyā hai
nāma-bar ko to lagā luuñ maiñ jigar se pahle
be-hijābī jo sahī hai tirī shoḳh āñkhoñ kī
rasm parde kī uThegī isī ghar se pahle
ai 'jalīl' aap bhī kis dhyān meñ haiñ ḳhair to hai
ḳhvāhis-e-qadr-e-hunar kasb-e-hunar se pahle