mirī taraf se ye be-ḳhayālī na jaane un ko ḳhayāl kyā hai
kabhī na pūchhā malāl kyā hai kabhī na dekhā ki haal kyā hai
mubārak aġhyār se ta.alluq na.ī hai chāhat nayā ta.ashshuq
balā se ham ho ga.e tasadduq tumheñ ab is kā malāl kyā hai
tujhī ko jaanā tujhī ko maanā tujhī pa dī jaan ġhā.ebāna
chhupā nahīñ kuchh mirā fasāna ye ab javāb-o-savāl kyā hai
visāl ho yā rahe jaddā.ī tumhārī ai jaan jaisī marzī
jo apnī hālat thī maiñ ne kah dī ab aage merī majāl kyā hai
nazar uThā.eñ jo aarsī se to un se pūchhūñ ye maiñ hañsī se
lagā.ī hai aañkh kyā kisī se kaho to ye dekh-bhāl kyā hai
dar-e-mohabbat kā ik gadā huuñ parī kā tālib na huur kā huuñ
tujhī ko tujh se maiñ chāhtā huuñ bas aur merā savāl kyā hai
kahāñ tak ai vā.izo ye jhagḌe maze uThāne do be-ḳhudī ke
jo hosh meñ huuñ to maiñ ye samjhūñ harām kyā hai halāl kyā hai
bas ab mohabbat se haath uThāo bhale ko kahte haiñ maan jaao
na aap ko is tarah miTāo 'jalīl' dekho to haal kyā hai