Jaleel Manikpuri

muft mein toD ke rakh di meri tauba tu ne

Jaleel Manikpuri

Manikpur, Uttar pradesh, India

1866-1946
muft meñ toḌ ke rakh dī mirī tauba tū ne
kaam patthar kā kiyā shīsha-sahbā tū ne
maiñ ne kī jāma-darī aur unheñ shikva hai
kar diyā chaak mire husn kā pardā tū ne
kis qadar hosh-rubā hai nigah-e-mast tirī
us ko dekhā na sambhalte jise dekhā tū ne
tū nigāhoñ meñ tasavvur meñ jigar meñ dil meñ
fā.eda kyā jo kiyā aañkh se pardā tū ne
ham na kahte the nahīñ tāqat-e-dīdār 'jalīl'
kyā huā jalva-gah-e-nāz meñ dekhā tū ne
Top Urdushayar.com