ā.īne meñ ghūrne vaalā hai kaun
aur us ke sāmne vaalā hai kaun
har qadam kartā hai jo merī nafī
mere andar bolne vaalā hai kaun
maiñ agar huuñ āsmāñ-dar-āsmāñ
ye zamīñ par reñgne vaalā hai kaun
kis ke pīchhe dauḌtā rahtā huuñ maiñ
aage aage bhāgne vaalā hai kaun
maiñ huuñ ātish-dān se chipkā huā
barf-o-bārāñ nāchne vaalā hai kaun
ain mere dhyān par kartā hai vaar
mujh ko mujh se chhīnñe vaalā hai kaun
kaun hai 'betāb' āḳhir gum-shuda
aur us ko DhūñDne vaalā hai kaun