qāsid aayā magar javāb nahīñ
mere likhe kā bhī javāb nahīñ
ḳhum to hai sāqiyā sharāb nahīñ
āsmāñ hai aur āftāb nahīñ
ban ke but sab vo kah guzarte haiñ
be-dahānī tirā javāb nahīñ
sub.h hote vo ghar ga.e apne
ab nikalne kā āftāb nahīñ
nuur vo hai ki kuchh nahīñ khultā
hai tire ruḳh pe yā naqāb nahīñ
tuur ke zikr par chamak uTThe
baat kī in butoñ ko taab nahīñ
garche duniyā hai ā.īna-ḳhāna
merā saanī tirā javāb nahīñ
ban gayā hai naqāb chehre kī
ki utartā kabhī itaab nahīñ
ruḳh se afshāñ chhuḌā ke kahte haiñ
aaj tāroñ meñ māhtāb nahīñ
chāñd ko raat kyā chhupā.egī
zulf ruḳh ke liye naqāb nahīñ
chaḌh ke utreñgī tevriyāñ sau baar
kuchh ye chaḌhtā huā shabāb nahīñ
kuchh nahīñ mere be-shumār gunāh
vo agar barsar-e-hisāb nahīñ
Dhal ke kahtā hai chaudhvīñ kā chāñd
ek shab se sivā shabāb nahīñ
mai to Dhal kar rahegī ai saaqī
kuchh ye ma.ashūq kā shabāb nahīñ
mai-kada bhī bahisht hai lekin
muft miltī yahāñ sharāb nahīñ
sun ke ye parde se nikal aa.e
terī tasvīr kā javāb nahīñ
aah ko sun ke muñh chhupāte ho
ek jhoñke kī bhī naqāb nahīñ
ḳhatm hotī nahīñ havas dil kī
ek tūfān hai shabāb nahīñ
dil jale jab maza hai rone kā
mai hai paanī agar kabāb nahīñ
ishq meñ hai 'jalīl' lā-sānī
husn meñ yaar kā javāb nahīñ