bahāreñ luTā diiñ javānī luTā dī
tumhāre liye zindagānī luTā dī
sabā ne to barsā.e gul fasl-e-gul meñ
ghaTā ne mai-e-arġhavānī luTā dī
adāoñ pe kar dī fidā saarī hastī
nigāhoñ pe duniyā-e-fānī luTā dī
ajab daulat-e-husn paa.ī thī dil ne
na maanī mirī ik na maanī luTā dī
na khonā thā ġhaflat meñ ahd-e-javānī
ajab raat thī ye suhānī luTā dī
na kī husn kī qadr ai māh-e-kāmil
faqat raat bhar meñ javānī luTā dī
hasīnoñ ne rañgīni-e-ḳhvāb-e-shīrīñ
sunī jab hamārī kahānī luTā dī
ajab hausla ham ne ġhuncha kā dekhā
tabassum pe saarī javānī luTā dī
'jalīl' aap kī shā.erī par kisī ne
nigāhoñ kī jādū-bayānī luTā dī