chāhiye duniyā na uqbā chāhiye
jo tujhe chāhe use kyā chāhiye
zindagī kyā jo basar ho chain se
dil meñ thoḌī sī tamannā chāhiye
tāb-e-nazzāra in āñkhoñ ko kahāñ
dekhne vāloñ se pardā chāhiye
mujh ko dekho aur merī aarzū
ik hasīñ achchhe se achchhā chāhiye
vo bahut der-āshnā hai ai 'jalīl'
āshnā.ī ko zamānā chāhiye