Jaleel Manikpuri

aur un aankhon ne mere dil ki haalat zar ki

Jaleel Manikpuri

Manikpur, Uttar pradesh, India

1866-1946
aur un āñkhoñ ne mere dil kī hālat zaar kī
ho nahīñ saktī davā bīmār se bīmār kī
mohr kī un par zarūrat kyā hai ai pīr-e-muġhāñ
ek ik ḳham par lagī hai aañkh har mai-ḳhvār kī
ḳhair ho yā-rab kahīñ vo ḳhud na ban jaa.eñ raqīb
ā.īne par aaj paḌtī haiñ nigāheñ pyaar kī
ḳhuun kar ke dil hamārā phir ga.ī vo mast aañkh
ek hī chullū meñ niyyat bhar ga.ī mai-ḳhvār kī
diid ke tālib the muusā tuur ko thī kyā ḳhabar
phūñk kar rakh degī bijlī jalva-e-dīdār kī
jalva-e-mahbūb se ḳhālī na dekhā dil koī
ā.īne haiñ saikḌoñ aur ek sūrat yaar kī
ho subuk-raftār kitnī hī nasīm-e-sub.h-dam
aañkh khul jaatī hai phir bhī nargis-e-bīmār kī
duḳhtar-e-raz ne diye chhīñTe kuchh aise sāqiyā
paanī paanī ho ga.ī tauba har ik mai-ḳhvār kī
kuchh phale-phūle na ye nāzuk mazāmīñ ai 'jalīl'
be-khile murjhā ga.iiñ kaliyāñ mire gulzār kī
Top Urdushayar.com